ওস্তাদ নুসরাত ফতেহ আলী খাঁন - Hum Apni Shaam

ওস্তাদ নুসরাত ফতেহ আলী খাঁন - Hum Apni Shaam Ko Jab Nazr-E-Jaam

Album - Chilman
Hum Apni Shaam Ko Jab

Dekh kar aap ki jawaani ko aarzoo-e-sharaab hoti hai
roz tauba ko todtaa hun main,roz niyyat kharaab hoti hai
(After seeing your youth, I pine for the wine
though I repent everyday, everyday my desires vitiate)

Saqi ke gesuon ki hawa kha raha hun main
aur is hawa ke saath uda ja raha hun main
(I am enjoying the breeze through the tresses of the cup-bearer
and I am swaying in this breeze)

Ai wahshat-e-khyaal nateeja tere supard
saagar ko qaynaat se takraa raha hun main
(O drearinees of thought, I leave the result in your hands
I am pitying the cup (of wine) against the world)

Jaata hun bazm-e-hashr mein is bedali ke saath
jaise kisi raqeeb ke ghar ja raha hun main
(With such spiritlessness I go to the day of judgement,
like I am going to one of my rivals )

Dair-o-haram ki gard bahut duur reh gayi
shayed ke maikade ke qareeb aa raha hun main
(The dust of the the temple and the mosque is left far behind,
seems like I am very near to the house of wine )

Mujh saa bhi saadah lau koi hoga ai Adam??
qasdan kharaab hone ko phir ja raha hun main
(Will there be anyone else as simpleton as myself??
I am going once again to be ruined)

Aap ke waaste gunaah sahi,ham piyein to sharaab banti hai
Sau ghamoN ko nichodne ke baad,ek qatraa sharaab banti hai
(For you it might be a sin, for us it is just wine
when all the sorrows have been squeezed, one drop of wine is made)

Ham apni shaam ko jab nazr-e-jaam karte hain
adab se hamko sitaare salaam karte hain
(When we gift out evening to the cup of wine
the stars salute me with reverence)

Gale lagaate hain dushman ko bhi suroor mein ham
bahut bure hain magar nek kaam karte hain
(We embrace our enemies while intoxicated
though we are very bad, still do good deed)

Sajayein kyuN na ise ye sarai hai dil ki
yahan haseen musafir qayaam karte hain
( Why should not we decorate the inn of heart
here rests the beautiful travelers )

Hayaat bech dein thode se pyaar ke badle
ye kaarobaar bhi tere ghulaam karte hain
( We can trade our life for a bit of love
this business is also done by your slaves )

Hamein too ek nazar se nawaz de saaqi
ham apne hosh-o-khirad tere naam karte hain
(Comfort us with just a glance, wine-bearer
we leave our minds and understanding to you)

Qateel kitne sukhan saaz hain ye sannate
sukoot-e-shab mein jo hamse kalaam karte hain
(Qateel, such connoisseur of poetry is this wilderness
it talks to me in the loneliness of night)